Wo Mujhe Soz-e-tamanna Ki Tapish Samjha Gaya
wo mujhe soz-e-tamanna ki tapish samjha gaya
mom ka paikar samajh kar dhup mein Thahra gaya
us ki bazm-e-gul hain apne KHana-e-viran ki samt
main misal-e-abr aaya surat-e-sahra gaya
tha amir-e-shahr gar apni jagah bar-haq to phir
aaina jab samne aaya to kyun ghabra gaya
ab koi saffak duniya ke ghamon ka gham nahin
hum ko tera gham samajhne ka saliqa aa gaya
kis se dekha jaega us ka jamal-e-nau-ba-nau
ek jalwa hi nigah-e-shauq ko pathra gaya
bazi-e-dil hum ne yun kheli bisat dahr par
shah pe shah paDti rahi har shah pe ek mohara gaya
chaDhte suraj ke pujari kal ke suraj ko na bhul
wo bhi suraj tha yun hi nikla chaDha utra gaya
ab na wo mushtaq nazren hain na wo betab dil
be-mahaba aae sanson ka wo pahra gaya
kuchh ajab tha teri bazm-e-naz mein 'aKHgar' ka haal
aaj us ko der tak kuchh sochta dekha gaya
(1104) Peoples Rate This