Wo Dil Mein Aur Qarib-e-rag-e-gulu Bhi Mile
wo dil mein aur qarib-e-rag-e-gulu bhi mile
zara sa lutf magar hum se ru-ba-ru bhi mile
jo koi waqif-e-adab-e-rang-o-bu bhi mile
to ashk-e-KHun mein bu-e-zaKHm-e-arzu bhi mile
hazar zaKHm ko kya be-shumar zaKHm lage
usi ke sath magar fursat-e-rafu bhi mile
ye but-kada na sahi phir bhi mai-kada to nahin
yahan to hum ko kai rind be-wuzu bhi mile
hamein to aarzu-e-izn-e-haziri hai bahut
zahe-nasib agar izn-e-guftugu bhi mile
wo is ko kaise KHamoshi qarar de aaKHir
mere sukut mein jab jurm-e-guftugu bhi mile
mile jahan bhi payam-e-hayat-e-nau mujh ko
maza to jab hai wahin mere yar tu bhi mile
wo ek aap hi apni misal hai 'aKHgar'
aur aap jaise kai us ko hu-ba-hu bhi mile
(1102) Peoples Rate This