Shikasta Dil Kisi Ka Ho Hum Apna Dil Samajhte Hain
shikasta dil kisi ka ho hum apna dil samajhte hain
tere gham mein zamane bhar ke gham shamil samajhte hain
hui hain is qadar aasaniyon se mushkilen paida
har aasani ko hum apni jagah mushkil samajhte hain
wo KHud dekhe magar us ko koi na dekhne pae
tera andaz hum ai parda-e-hail samajhte hain
kisi ka hath zaKHmon par kisi ka hath gardan mein
masiha kaun hai aur kaun hai qatil samajhte hain
had-e-dil se to bahar dard tera ho nahin sakta
jahan tak dard hai tera wahan tak dil samajhte hain
majal-e-did ki mohlat na den lekin ye kya kam hai
wo hum ko apni bazm-e-naz ke qabil samajhte hain
tayyun husn-e-maqsad ka nahin is ke siwa koi
Thahar jaen jahan hum bas use manzil samajhte hain
kahan tak hum musalsal ruKH badalte jaen kashti ka
wahi tufan nikalta hai jise sahil samajhte hain
unhen fursat kahan ye bhi ghanimat jaaniye 'aKHgar'
ki wo dil ko kisi tazir ke qabil samajhte hain
(871) Peoples Rate This