Saz Mein Soz Jab Nahin Aata
saz mein soz jab nahin aata
lutf-e-bazm-e-tarab nahin aata
hum ko apni KHabar nahin hoti
wo to aane ko kab nahin aata
aql mein lafz-e-ishq ka mafhum
kuchh to aata hai sab nahin aata
hosh aane ki baat itni hai
jab wo aata hai tab nahin aata
us ko ulfat ki baat par ghussa
pahle aata tha ab nahin aata
ho na ho bhar raha hai zaKHm-e-jigar
rang ashkon mein ab nahin aata
dil lahu jab talak na ho 'aKHgar'
rang-e-husn-e-talab nahin aata
(746) Peoples Rate This