KHalwat-e-jaan Mein Tera Dard Basana Chahe
KHalwat-e-jaan mein tera dard basana chahe
dil samundar mein bhi diwar uThana chahe
parda-dari ye mohabbat ko nibhana chahe
dil mein chhup kar wo kahan samne aana chahe
us ke daman pe bikhar jae sitaron ki tarah
KHamushi haal agar apna suna chahe
us se kya koi kare aag bujhane ka sawal
wo to jazbaat mein bas aag lagana chahe
husn barham ki manane ko hai sadiyan darkar
rose ek tark-e-talluq ka bahana chahe
ishq ko farsh bhi kanTon ka gawara hai magar
husn har haal mein ek aaina-KHana chahe
ban gaya meri mohabbat ka harif ai 'aKHgar'
main jise chahun usi ko ye zamana chahe
(847) Peoples Rate This