Jalwon Ka Jo Tere Koi Pyasa Nazar Aaya
jalwon ka jo tere koi pyasa nazar aaya
wo zat mein apni hamein dariya nazar aaya
zad par jo nigahon ki wo chehra nazar aaya
kuchh rang-e-haya aur nikharta nazar aaya
ye husn-e-taghazzul ka karishma nazar aaya
wo jaan-e-ghazal sher sarapa nazar aaya
ek silsila-e-la-mutanahi tha gham-e-ishq
arman se arman nikalta nazar aaya
rashk-e-mah-o-KHurshid wo miTTi ka diya tha
jo ruKH pe hawaon ke bhi jalta nazar aaya
main ne to kabhi aap ko tanha nahin dekha
main aap ko mahfil mein bhi tanha nazar aaya
dil mera bhar aaya ba-gham-e-tark-e-mohabbat
KHali tha magar jam chhalakta nazar aaya
parde pe jami rah gain KHamosh nigahen
yun bhi pas-e-parda tera chehra nazar aaya
mujh par to jami thin teri mahfil ki nigahen
main wo tha ki mahfil mein bhi tanha nazar aaya
saqi ne mujhe KHas nigahon se jo dekha
shoala sa mere jam se uThta nazar aaya
ek dushman-e-iman se ho ummid-e-wafa kya
kab dasht mein diwar ka saya nazar aaya
KHush-rang hua aur teri yaad ka manzar
palkon pe agar koi sitara nazar aaya
suli pe chaDha koi koi tur pe pahuncha
'aKHgar' tere kuche se guzarta nazar aaya
(855) Peoples Rate This