Is Tarah Mah-ruKHon Ko Pasheman Karenge Hum
is tarah mah-ruKHon ko pasheman karenge hum
ab dagh dagh dil ka numayan karenge hum
aaina ban ke jaenge bazm-e-jamal mein
mahfil ke ru-ba-ru unhen hairan karenge hum
aae to wo bahaar-e-dil-o-jaan nigah mein
ek ek nafas ko rashk-e-gulistan karenge hum
us but ko apne dil mein basane se peshtar
paimaish-e-hararat-e-iman karenge hum
mil jae un ka naqsh-e-kaf-e-pa agar kahin
ek ek lakir juzw-e-rag-e-jaan karenge hum
ehsan-e-wasl-e-yar bhi manzur hai magar
aazar-e-hijr-e-yar ke arman karenge hum
'aKHgar' kisi ki yaad mein lazim hai ek jashn
KHun-e-jigar se KHatir-e-mizgan karenge hum
(866) Peoples Rate This