Haal-e-dil-e-bimar Samajh Mein Chaaragaron Ki Aae Kam
haal-e-dil-e-bimar samajh mein chaaragaron ki aae kam
bechaini ho jae ziyaada dard agar ho jae kam
ashk nigal jaun to yaqinan shiddat-e-gham ho jae kam
dil ka jhulas jaana lazim hai aah jo lab par aae kam
mujh ko hai taslim qafas mein phulon ke hain sae kam
hae magar wo jin ko chaman ki aab-o-hawa ras aae kam
rah-e-talab mein har manzil par ho tajdid-e-azm-e-safar
rahraw ko aaram na aae aur jo aae aae kam
qamat-e-fan ki baat alag meyar-e-hunar ki baat alag
shahr-e-suKHan gunjaan hai lekin hain mere ham-sae kam
apne aib se waqif hona sab se baDa hai kar-e-hunar
aadmi KHud aaina dekhe auron ko dikhlae kam
puchhne walo haal na puchho ishq mein ab ye aalam hai
KHud par hansna aae ziyaada dil par rona aae kam
aariz-e-rangin kahne mein tausif to hai tashbih nahin
phul pe aae us ki shabahat phul ki us par aae kam
shahr-e-nafas se wadi-e-jaan tak saikDon nazuk rishte hain
sans na rukne pae 'aKHgar' dard na hone pae kam
(821) Peoples Rate This