Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_922eee4afef206579dcff9f686727e4b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Nigah Jab Mujhe Pukarti Thi - Hammad Niyazi Poetry In English - Darsaal

Wo Nigah Jab Mujhe Pukarti Thi

wo nigah jab mujhe pukarti thi

dil ki hairaniyan ubhaarti thi

apni nadida ungliyon ke sath

mere baalon ko wo sanwarti thi

roz main us ko jit jata tha

aur wo roz KHud ko haarti thi

pattiyan muskurane lagti thin

shaKH se phul jab utarti thi

jin dinon main use pukarta tha

ek duniya mujhe pukarti thi

sehn mein chhanw thi daraKHton ki

jo meri shairi nikhaarti thi

bargahon mein ghusl-e-girya se

ruh apni thakan utarti thi

ek lagan thi chubhan thi jo bhi thi

roz sine mein din guzarti thi

(745) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Nigah Jab Mujhe Pukarti Thi In English By Famous Poet Hammad Niyazi. Wo Nigah Jab Mujhe Pukarti Thi is written by Hammad Niyazi. Read famous Poem Wo Nigah Jab Mujhe Pukarti Thi for youth and Student by Hammad Niyazi. Free Download Wo Nigah Jab Mujhe Pukarti Thi in PDF.