Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_14c10dabd74c92584d36b9e584a5de6e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab MunDeron Pe Parindon Ki Kumak Jari Thi - Hammad Niyazi Poetry In English - Darsaal

Jab MunDeron Pe Parindon Ki Kumak Jari Thi

jab munDeron pe parindon ki kumak jari thi

lafz the lafzon mein ehsas ki sardari thi

ab jo lauTa hun to pahchan nahin hoti hai

kahan diwar thi diwar mein almari thi

wo haweli bhi saheli thi paheli jaisi

jis ki inTon mein mere KHwab the KHuddari thi

aaKHiri bar main kab us se mila yaad nahin

bas yahi yaad hai ek sham bahut bhaari thi

puchhta phirta hun galiyon mein koi hai koi hai

ye wo galiyan hain jahan log the sarshaari thi

peD the chand makanon mein zamanon jaise

jin ki chhanw mein meri ruh ki lu jari thi

kya bhale din the hamein khel tha hansna rona

sans lena bhi hamein jaise adakari thi

bas koi KHwab tha aur KHwab ke pas-manzar mein

bagh tha phul the KHushbu ki numudari thi

hum ne dekha tha use ujle dinon mein 'hammad'

jin dinon nind thi aur nind mein bedari thi

(932) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab MunDeron Pe Parindon Ki Kumak Jari Thi In English By Famous Poet Hammad Niyazi. Jab MunDeron Pe Parindon Ki Kumak Jari Thi is written by Hammad Niyazi. Read famous Poem Jab MunDeron Pe Parindon Ki Kumak Jari Thi for youth and Student by Hammad Niyazi. Free Download Jab MunDeron Pe Parindon Ki Kumak Jari Thi in PDF.