Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5c518cedd584b58ca43edbf2c43fcacd, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hamare Bas Mein Kya Hai Aur Hamare Bas Mein Kya Nahin - Hammad Niyazi Poetry In English - Darsaal

Hamare Bas Mein Kya Hai Aur Hamare Bas Mein Kya Nahin

hamare bas mein kya hai aur hamare bas mein kya nahin

jahan-e-hast-o-bud mein kisi pe kuchh khula nahin

huzur-e-KHwab der tak khaDa raha sawer tak

nasheb-e-qalb-o-chashm se guzar tera hua nahin

nazar mein ek charagh tha badan mein ek bagh tha

charagh o bagh ho chuke koi riha raha nahin

ujaD gain haweliyan chali gain saheliyan

dila teri qabil se koi bhi ab bacha nahin

hawas ki razm-gah mein badan ki kar-gah mein

wo shor tha ki dur tak kisi ne kuchh suna nahin

na jaane kitne yug Dhale na jaane kitne dukh pale

gharon mein hanDiyon tale kisi ko kuchh pata nahin

wo peD jis ki chhanw mein kaTi thi umr ganw mein

main chum chum thak gaya magar ye dil bhara nahin

(926) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamare Bas Mein Kya Hai Aur Hamare Bas Mein Kya Nahin In English By Famous Poet Hammad Niyazi. Hamare Bas Mein Kya Hai Aur Hamare Bas Mein Kya Nahin is written by Hammad Niyazi. Read famous Poem Hamare Bas Mein Kya Hai Aur Hamare Bas Mein Kya Nahin for youth and Student by Hammad Niyazi. Free Download Hamare Bas Mein Kya Hai Aur Hamare Bas Mein Kya Nahin in PDF.