Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9fcea9b2c3a33f778e135d834a1b7db1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Be-sabab Ho Ke Be-qarar Aaya - Hammad Niyazi Poetry In English - Darsaal

Be-sabab Ho Ke Be-qarar Aaya

be-sabab ho ke be-qarar aaya

mere pichhe mera ghubar aaya

chand yaadon ka shor tha mujh mein

main use qabr mein utar aaya

us ko dekha aur us ke baad mujhe

apni hairat pe e'tibar aaya

bhul baiTha hai rang-e-gul mera dil

partaw-e-gul pe itna pyar aaya

ek duniya ko chahta tha wo

ek duniya mein us pe war aaya

sans leti thi koi hairani

main jise lafz mein utar aaya

kuchh na aaya hamare kase mein

aur aaya to intizar aaya

kab mujhe us ne iKHtiyar diya

kab mujhe KHud pe iKHtiyar aaya

bar-e-wahshat koi uThata kya

so digar bar dil pe bar aaya

(854) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-sabab Ho Ke Be-qarar Aaya In English By Famous Poet Hammad Niyazi. Be-sabab Ho Ke Be-qarar Aaya is written by Hammad Niyazi. Read famous Poem Be-sabab Ho Ke Be-qarar Aaya for youth and Student by Hammad Niyazi. Free Download Be-sabab Ho Ke Be-qarar Aaya in PDF.