Aks Hai Be-tabiyon Ka Dil Ki Armanon Mein Kyun
aks hai be-tabiyon ka dil ki armanon mein kyun
be-zaban shamil hue jate hain mehmanon mein kyun
ho gae diwane ruKHsat bastiyon ki samt kya
chha gain viraniyan si phir bayabanon mein kyun
dil ki us be-raunaqi ka zikr jaane dijiye
ho rahi hain bastiyan tabdil viranon mein kyun
hai raqabat juzw-e-lazim mehr-o-ulfat ka agar
ijtimai ishq phir hota hai parwanon mein kyun
kya kisi kuTiya ke andar jag uThi hai zindagi
khalbali si paD gai mahlon mein aiwanon mein kyun
biKH-kun the jo sitam-ranon ke kal tak ai nadim
ho raha hai ab shumar un ka sitam-ranon mein kyun
amn ke KHwahan hain jab 'afsar' jahan wale tamam
kashmakash rahti hai phir itni jahan-banon mein kyun
(750) Peoples Rate This