Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f055db8fe5b4d0e255a4818e135b9f0a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhko Marne Ki Koi Ujlat Na Thi - Hamidi Kashmiri Poetry In English - Darsaal

Mujhko Marne Ki Koi Ujlat Na Thi

mujh ko marne ki koi ujlat na thi

KHud se milne ki koi surat na thi

dekhte kya husn ki nairangiyan

aankh jhapkane ki bhi fursat na thi

KHud-ba-KHud ye zaKHm lau dene lage

mujh ko koi hajat-e-shohrat na thi

uTh raha hai dil se aahon ka dhuan

mahfil-e-shab mahfil-e-ishrat na thi

peD patte jal ke KHakistar hue

dosto wo barish-e-rahmat na thi

apne chehre ajnabi hote gae

un ki aaankhon mein koi hairat na thi

(962) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko Marne Ki Koi Ujlat Na Thi In English By Famous Poet Hamidi Kashmiri. Mujhko Marne Ki Koi Ujlat Na Thi is written by Hamidi Kashmiri. Read famous Poem Mujhko Marne Ki Koi Ujlat Na Thi for youth and Student by Hamidi Kashmiri. Free Download Mujhko Marne Ki Koi Ujlat Na Thi in PDF.