Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_eaa48b4f8aa487bd6c5dadf1c31594f2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHud KHamoshi Ke Hisaron Mein Rahe - Hamidi Kashmiri Poetry In English - Darsaal

KHud KHamoshi Ke Hisaron Mein Rahe

KHud KHamoshi ke hisaron mein rahe

raat bhar charche sitaron mein rahe

thi zamin-e-gul nazar ke samne

jada-paima reg-zaron mein rahe

ho gae hain kitne manzil-ashna

kitne rah-rau rahguzaron mein rahe

ho gain gharqab kitni bastiyan

kitne tufan joebaron mein rahe

zulmat-e-shab pas aa sakti nahin

muddaton hum mah-paron mein rahe

hai KHizan ki dhul ki tan par tahen

hum rahe to nau-bahaaron mein rahe

(772) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud KHamoshi Ke Hisaron Mein Rahe In English By Famous Poet Hamidi Kashmiri. KHud KHamoshi Ke Hisaron Mein Rahe is written by Hamidi Kashmiri. Read famous Poem KHud KHamoshi Ke Hisaron Mein Rahe for youth and Student by Hamidi Kashmiri. Free Download KHud KHamoshi Ke Hisaron Mein Rahe in PDF.