Chand Kohre Ke Jaziron Mein BhaTakta Hoga
chand kohre ke jaziron mein bhaTakta hoga
raqs-gah mein tu ne malbus utara hoga
yak-ba-yak chiKH uThe chaar dishaon ka sukut
zard din mein kabhi aisa ho to phir kya hoga
the wo darmanda-e-shab jag ke phir sote the
shahr-e-zulmat hai kab is mein sawera hoga
aankh ke kale gaDhon mein wo giraftar the sab
kis ne girte houn ko hath se thama hoga
sang-o-ahan ki fasilon pe sharare lapke
KHun alfaz ki rag rag ne uchhaala hoga
le gai bahti hawa dur bahut dur mujhe
tu ne ghar ghar mujhe bekar talasha hoga
kai diwaren hui hain pas-e-diwar khaDi
phir koi soKHta-dil raat ko chiKHa hoga
mauj-dar-mauj hai an-dekhe jaziron ka fusun
tu ne shab bhar mujhe sahil pe pukara hoga
shahr ki saDkon pe ye ghumte kale jangal
gher len mujh ko ye har samt se phir kya hoga
bahr to bahr hai ru-posh hue dasht-o-jabal
kya KHabar thi ye mere jism ka saya hoga
tum bhala mujh se KHafa ho ke kahan jaogi
shahr ki galiyon mein is waqt andhera hoga
(785) Peoples Rate This