Tulua Se Pahle
kabhi
yun hi
kisi shab chandni ka hath lagte hi
bina dastak ke khul jata hai ek kamre ka darwaza
darichon se koi madhosh-kun KHushbu nikalti hai
faza mein muskuraati hai
hayule se kai pardon pe bante hain bigaDte hain
koi mauhum aahaT phail jati hai samaat par
kitaben jag uThti hain koi safhe ulaTta hai
hawa mein sarsaraate hain adhuri nazm ke TukDe
faza mein tairte hain har taraf bhaTke hue misre
kahin maddham suron ka saz koi chheD deta hai
andhere ke samundar mein koi bajra sa chalta hai
purane git bahte hain
udasi tal deti hai
kabhi shishon pe halki nilgun lahren machalti hain
kisi aawaz ka saya khuli khiDki mein aata hai
kiran koi zara sa jhilmila kar TuT jati hai
samajh mein kuchh nahin aata
andhere mein bikharta kya hai kya tartib pata hai
(891) Peoples Rate This