Raat
raat kitni sahir hai
gard se aTe chehre
baDh ke tham leti hai
apne narm hathon mein
din ka shor kanon se
phike manzar aankhon se
chun ke phenk deti hai
be-karan andheron mein
muzmahil thake-mande
laDkhaDate jismon ko
baDh ke tham leti hai
raat apni banhon mein
raat kitni mahir hai
jabr aur mashaqqat ki
saKHtiyan bhulane mein
dosti nibhane mein
be-sukun zehnon ko
loriyan sunane mein
jagne sulane mein
raat kitni mahir hai
raat kitni behis hai
us ki aastinon mein
kitne sanp palte hain
ta-sahar gunahon ke
kaise daur chalte hain
raat jaise gungi hai
dekhti hai sara kuchh
aur kuchh nahin kahti
raat jaise bahri hai
siskiyan nahin sunti
hausla nahin deti
jin ki kashtiyon ko gham
zabt ke jazire par
Therne nahin deta
jin ko bar-e-bad-baKHti
zist ke samundar mein
tairne nahin deta
reg-e-sahil-e-shab par
kaise sar paTaKHte hain
raat jaise andhi hai
aasra nahin deti
dost hi nahin banti
raat kitni behis hai
(1589) Peoples Rate This