Hazir-ghaeb
ishaara kis ne toDa hai
ki chaurahe ke bichon-bich
hum ek dusre se is tarah Takra gae hain
ye chaaron raste
hum ne mohabbat ki kudalon se tarashe the
hamein phulon pe chalne ka ishaara chahiye tha
magar rishton ke baadal jo kabhi dil par baraste the
to hariyali ka mausam chaaron jaanib phail jata tha
wo baadal kanch ke manind yun TuTe fazaon mein
ki har rasta nukili kirchiyon ki surmai barish mein bhiga hai
ye chauraha
ki jo apne milan ka istiara tha
tamasha-gah mein badla
musafir ek-duje ke muqabil aa hi jate hain
magar apna safar kaise tasadum mein Dhala aaKHir
use ek hadse ki shakl kaise aur kis ne di
safar ko sanehe ka pairahan pahna ke
chaurahe ke bichon-bich istada kiya jis ne
use hum kis tarah DhunDen
use hum kaise pahchanen
ki har-su KHushnuma chehre kachumar ho ke bikhre hain
wo malghuba jo us andhe tasadum ka natija hai
use kis shakl mein Dhaalen
(964) Peoples Rate This