Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_62b150af79fff23c6c02f6fc4adcc115, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chori Ki Bhuk - Hamida Shahin Poetry In English - Darsaal

Chori Ki Bhuk

sun

mujhe tere luqme ki

thaali ki

hirs-o-hawas ki qasam

ye mera rizq tha

zaiqa jis ka teri zaban ne chakha

kya bataun tujhe

main kaDakti hui dhup mein pa-barahna kahan tak chali

main ne kitne kaDe kos kaTe to do ghunT pani mila

kaise mera lahu

pani ho ke masamon se bahta raha

aur main Dhoti rahi ranj ki gaThriyan

kya kahun

kis mashaqqat ne hathon ko zaKHm aur pairon ko chhaalon ka tohfa diya

ye meri mehnaton ki kamai thi

jo teri thaali mein hai

sun

mujhe meri faqa-kashi ki qasam

(835) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chori Ki Bhuk In English By Famous Poet Hamida Shahin. Chori Ki Bhuk is written by Hamida Shahin. Read famous Poem Chori Ki Bhuk for youth and Student by Hamida Shahin. Free Download Chori Ki Bhuk in PDF.