Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ea3c1fdd9bc921103a34f1326e5b247c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hamari KHwahishon Mein Sargirani Bhi Kahan Thi - Hamid Zahoor Poetry In English - Darsaal

Hamari KHwahishon Mein Sargirani Bhi Kahan Thi

hamari KHwahishon mein sargirani bhi kahan thi

aur us ko zindagi hum se nibhani bhi kahan thi

hawa le aai thi is shahr mein ai dost warna

abhi pesh-e-nazar naql-e-makani bhi kahan thi

tumhaara naqsh in aankhon se dhulta bhi to kaise

ki dariya mein wo pahli si rawani bhi kahan thi

wo apne zoam mein bichhDa magar main sochta hun

hamare darmiyan koi kahani bhi kahan thi

bahut jaldi chale aae hain hum kar-e-jahan se

wagarna zindagi itni purani bhi kahan thi

(695) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamari KHwahishon Mein Sargirani Bhi Kahan Thi In English By Famous Poet Hamid Zahoor . Hamari KHwahishon Mein Sargirani Bhi Kahan Thi is written by Hamid Zahoor . Read famous Poem Hamari KHwahishon Mein Sargirani Bhi Kahan Thi for youth and Student by Hamid Zahoor . Free Download Hamari KHwahishon Mein Sargirani Bhi Kahan Thi in PDF.