Chalo Wapas Chalen
tumhein KHwahish ko chhune ki tamanna hai
KHwahishen to uDti-phirti titliyan hain
Dak ki nakara Ticketen to nahin hain
jinhen album mein rakh kar tum ye samjho
ki ye nayab chizen ab tumhaari dastaras mein hain
tumhein sapne pakaDne ki tamanna hai
nahin ye ghair-mumkin hai
ki sapne an-chhue lamhon ke nazuk aks hain
aaraishi belen nahin
jo kamre ki kisi diwar par saj kar
tumhaari did ka ehsan uThaen
tumhein kohre ke bhige phul chunne ki tamanna hai
ye kohra to charagh-e-mausam-e-gul ka dhuan hai
koi diwar-e-berlin par khinchi tahrir ya naqsha nahin
jise jis waqt jo chahe badal de
ya miTa de
sabz-ru kohra pakaDna is qadar aasan nahin
suno
diwangi chhoDo
chalo wapas haqiqat mein chalen
(993) Peoples Rate This