Ghum Rahe Hain Aangan Aangan Chand Hawa Aur Main
ghum rahe hain aangan aangan chand hawa aur main
DhunD rahe hain bichhDa bachpan chand hawa aur main
bhula-bisra afsana hain aaj us ke nazdik
kal tak the jis dil ki dhaDkan chand hawa aur main
KHwabon se be-nam jaziron mein ghume sau bar
yaadon ka thame hue daman chand hawa aur main
apne hi ghar mein hain ya sahra mein garm-e-safar
kyunkar suljhaen ye uljhan chand hawa aur main
aaj ke daur mein apni hi pahchan hui dushwar
dekh rahe hain waqt ka darpan chand hawa aur main
rang ka haala KHushbu ka ek jhonka kuchh to mile
kab se hain aawara-e-gulshan chand hawa aur main
parchhain ke pichhe bhage khoe KHalaon mein
nikle aap hi apne dushman chand hawa aur main
jaane kis ki kaun hai manzil phir bhi hain ek sath
ghum rahe hain tinon ban ban chand hawa aur main
uryani ka dosh kise den apni hai taqdir
KHud hi jala baiThe pairahan chand hawa aur main
(759) Peoples Rate This