Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d6757c1039b8ce2c8c93441ab7429f1d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Raat KaTi Hai Jag Kar Baba - Hamid Sarosh Poetry In English - Darsaal

Raat KaTi Hai Jag Kar Baba

raat kaTi hai jag kar baba

din guzara hai dar par baba

hath aaya na raushni ka sarab

dur tha chand ka nagar baba

apne markaz se dur ho kar hum

ho gae aur dar-ba-dar baba

choT kha kar sambhal na pae hum

phul phenka tha tak kar baba

hum faqiron mein mil ke baiTh kabhi

taKHt-e-taus se utar baba

raston ke azab se Dar kar

yun na har har qadam pe mar baba

thi dhanak dur aasmanon mein

aur hum the shikasta-par baba

(716) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat KaTi Hai Jag Kar Baba In English By Famous Poet Hamid Sarosh. Raat KaTi Hai Jag Kar Baba is written by Hamid Sarosh. Read famous Poem Raat KaTi Hai Jag Kar Baba for youth and Student by Hamid Sarosh. Free Download Raat KaTi Hai Jag Kar Baba in PDF.