Suraj Sa Bhi Tara Ho Zamin Si Bhi Zamin Ho

suraj sa bhi tara ho zamin si bhi zamin ho

mumkin hai falak par koi tum sa bhi hasin ho

tardid-e-jahaalat ki saza maut hai chup hun

ab kaun yahan khol ke lab munkir-e-din ho

is baat se kafir ko bhi inkar nahin hai

wo shaKHs payambar hai jo sadiq ho amin ho

sunta hun kai dair o kalisa ke fasane

ai kash kisi baat ka mujh ko bhi yaqin ho

uDta phirun gar charKH pe har ranj se aazad

yarab yahi aalam mujhe firdaus-e-barin ho

be-wajh bhi dekha hai pareshan tumhein 'hamid'

diwane bhi lagte nahin aashiq bhi nahin ho

(750) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Suraj Sa Bhi Tara Ho Zamin Si Bhi Zamin Ho In English By Famous Poet Hamid Saleem. Suraj Sa Bhi Tara Ho Zamin Si Bhi Zamin Ho is written by Hamid Saleem. Read famous Poem Suraj Sa Bhi Tara Ho Zamin Si Bhi Zamin Ho for youth and Student by Hamid Saleem. Free Download Suraj Sa Bhi Tara Ho Zamin Si Bhi Zamin Ho in PDF.