Maal-e-dil Ke Liye Aaj Yun KHudi Tarse
maal-e-dil ke liye aaj yun KHudi tarse
ki zindagi ke liye jaise zindagi tarse
KHirad-ba-dosh hai tahzib-e-nau magar phir bhi
junun-ba-daman tamaddun ko aagahi tarse
jo apna KHun-e-jigar pi ke mast ho jaen
ab aise zarf-paraston ko tishnagi tarse
hai ab bhi silsila-e-dosti jahan mein magar
wafa-shanas mohabbat ko dosti tarse
maqam-e-zabt gham-e-ishq mein wo paida kar
ki tu KHushi ko na tarse tujhe KHushi tarse
rah-e-wafa mein mujhe kash aisi maut mile
ki baad-e-marg mujhe meri zindagi tarse
jahan mein ahl-e-suKHan kam nahin magar 'hamid'
taKHayyulat-e-haqiqat ko shairi tarse
(872) Peoples Rate This