Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e54d03d7b6cebc1de930510ac22b043e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chahe Kuchh Ho Zer-e-ehsan Apni Nadari Na Rakh - Hamid Mukhtar Hamid Poetry In English - Darsaal

Chahe Kuchh Ho Zer-e-ehsan Apni Nadari Na Rakh

chahe kuchh ho zer-e-ehsan apni nadari na rakh

pattharon se bhar ke ye shishe ki almari na rakh

jang tu jite ki haare ye alag ek baat hai

zehn-o-dil par KHauf dushman ka magar tari na rakh

aaDi tirchhi kuchh lakiren hi milengi sham tak

shahr ke chaurahe par tu apni fankari na rakh

ye buzurgon ki rawa-dari ke pazh-murda gulab

aabiyari chahte hain in mein chingari na rakh

hai tere insaf ka teri taraazu se waqar

baT halke hon to aage chiz bhi bhaari na rakh

zindagi ke aaine ki aab hai 'hamid' KHudi

apni sanson se juda ehsas-e-KHud-dari na rakh

(790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chahe Kuchh Ho Zer-e-ehsan Apni Nadari Na Rakh In English By Famous Poet Hamid Mukhtar Hamid. Chahe Kuchh Ho Zer-e-ehsan Apni Nadari Na Rakh is written by Hamid Mukhtar Hamid. Read famous Poem Chahe Kuchh Ho Zer-e-ehsan Apni Nadari Na Rakh for youth and Student by Hamid Mukhtar Hamid. Free Download Chahe Kuchh Ho Zer-e-ehsan Apni Nadari Na Rakh in PDF.