Din Ko Na Ghar Se Jaiye Lagta Hai Dar Mujhe
din ko na ghar se jaiye lagta hai Dar mujhe
is para-e-sahab ko suraj na dekh le
us hath ki mahak se mere hath shal hue
us qurb se mile mujhe sadiyon ke fasle
meri lawen bujha na sakin tez aandhiyan
jhonkon ki naram dhaar se kohsar kaT gae
apni sada ko rok lo kya is se faeda
Dhalwan par bhala kabhi patthar Thahar sake
'hamid' ajab ada se kiya KHun ne safar
palkon ko surKH kar gae panw ke aable
(699) Peoples Rate This