Apne Hisar-e-jism Se Bahar Bhi Dekhte
apne hisar-e-jism se bahar bhi dekhte
hum aaine ke samne ho kar bhi dekhte
aks-e-falak se TuTta kaise jumud aap
patthar gira ke jhil ke andar bhi dekhte
karte palaT ke apne hi sae se guftugu
sahra mein zard-rang samundar bhi dekhte
duniya ka KHauf tha to lagate na aag hi
ya mom ka pighalta hua ghar bhi dekhte
'hamid' tamam umr ye KHwahish rahi hamein
apne badan ki marg ka manzar bhi dekhte
(867) Peoples Rate This