Manzil Kahan Hai Dur Talak Raste Hain Yar
manzil kahan hai dur talak raste hain yar
kis justuju mein KHwab ke ye qafile hain yar
pal pal badalta rahta hai tahzib ka mizaj
lamhon ki dastaras mein ajab silsile hain yar
hai sabiqa hazar marahil se aur phir
is zindagi ke baad bhi kuchh marhale hain yar
tu hi bata tujhe main rakhun kis shumar mein
achchhe bure sabhi se mere rabte hain yar
han tujh se bewafai ki ummid to nahin
par sach kahun to dil mein kai wahime hain yar
KHwahish ka ehtiram hai jazbon ki aanch bhi
nindon ka ehtimam hai aur rat-jage hain yar
nazmen kahan hain falsafe manzum hain tamam
ghazlen kahan hain ishq ke sab marsiye hain yar
ahbab rishte-dar sabhi mumbai mein hain
lekin dilon ke bich baDe fasle hain yar
(1349) Peoples Rate This