Pyara Des
des apna hum ko pyara kyun na ho
des apna hum ko pyara kyun na ho
dil fida is par hamara kyun na ho
hind se baDh kar nahin koi zamin
go jahan jannat hi sara kyun na ho
kahte hain jis chiz ko aab-e-hayat
phir wo shai ganga ki dhaara kyun na ho
jis ne phailaya jahan mein nur-e-ilm
aankh ka duniya ki tara kyun na ho
kab miTa sakta hai hum ko aasman
go wo dushman hi hamara kyun na ho
hindu o muslim ko laDte dekh kar
ranj se dil para para kyun na ho
hum ne ye mana kabhi laD bhi liye
az-sar-e-nau bhai-chaara kyun na ho
kyun na ho ulfat adawat kyun rahe
dushmani kyun ho mudara kyun na ho
hum hain hindostan ke sachche saput
des ki KHidmat gawara kyun na ho
(1124) Peoples Rate This