Jazbaat Tez-rau Hain Ki Chashme Ubal PaDe
jazbaat tez-rau hain ki chashme ubal paDe
jab dard tham saka na to aansu nikal paDe
diwane se na kijiye diwangi ki baat
kya jaane kya zaban se us ki nikal paDe
ai dil maza to jab hai ki har zaKHm kha ke bhi
peshani-e-hayat pe hargiz na bal paDe
thin rahguzar-e-zist mein dushwariyan magar
hum rah-rawan-e-shauq the gir kar sambhal paDe
'hamid' hum apni manzil-e-gum-nam kya kahin
uTThe jidhar bhi panw usi samt chal paDe
(702) Peoples Rate This