Har-chand Dur Dur Wo Husn-o-jamal Hai
har-chand dur dur wo husn-o-jamal hai
ai wusat-e-nigah tera kya KHayal hai
duniya-e-ab-o-gil mein masarrat ki aarzu
aisi hai jaise aap ka pana muhaal hai
lo subh-e-inqalab ka bhi aasra gaya
ab karobar-e-zist tera kya KHayal hai
virani-e-hayat ko phir tul dijiye
ye meri zindagi ka muqaddam sawal hai
duniya ne us ko jaan ke jaana nahin abhi
'hamid' jo ek shair-e-sad-KHasta-haal hai
(870) Peoples Rate This