Har Wafa Na-ashna Se Bhi Wafa Karna PaDi
har wafa na-ashna se bhi wafa karna paDi
dil se dushman ke liye aksar dua karna paDi
main hua ruswa to mera gham bhi ruswa ho gaya
zindagi ki kis qadar qimat ada karna paDi
ai nigah-e-mohtasib jo chahe tu kah le mujhe
jite-ji is dil ke hathon har KHata karna paDi
hai fareb-e-dil bhi shayad wajh-e-takmil-e-wafa
aarzu-e-dil bhi ham-rang-e-hina karna paDi
zist ki KHuddariyon par harf lane ke liye
doston ko bhi karam ki intiha karna paDi
ahl-e-dil ne hi bharam rakkha ghurur-e-husn ka
warna tum bhi kah uThe the ab dua karna paDi
be-nigah-e-lutf-e-saqi kaam kuchh banta nahin
husn-e-be-parwa se 'hamid' iltija karna paDi
(830) Peoples Rate This