Fareb De Na Kahin Azm-e-mustaqil Mera

fareb de na kahin azm-e-mustaqil mera

hujum-e-yas se ghabra na jae dil mera

ye kis maqam pe pahuncha diya mohabbat ne

ki mere bas mein nahin hai KHud aaj dil mera

mubarak aish ka mahaul KHush-nasibon ko

bahut hai mere liye dard-e-mustaqil mera

sun ai nigah-e-mohabbat se ruThne wale

tere KHayal mein gum hai sukun-e-dil mera

mere gunahon ka anjam sochne wale

ye dekh kahta hai kya ashk-e-munfail mera

do-chaar tinkon ki duniya ajib duniya thi

ki mutmain tha har ek tarah jis mein dil mera

ummid-e-lutf kisi aur se ho kya 'hamid'

hua na jab ki mohabbat mein mera dil mera

(702) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fareb De Na Kahin Azm-e-mustaqil Mera In English By Famous Poet Hamid Allahabadi. Fareb De Na Kahin Azm-e-mustaqil Mera is written by Hamid Allahabadi. Read famous Poem Fareb De Na Kahin Azm-e-mustaqil Mera for youth and Student by Hamid Allahabadi. Free Download Fareb De Na Kahin Azm-e-mustaqil Mera in PDF.