Ek Rose Jo Gulshan Mein Wo Jaan-e-bahaar Aae
ek rose jo gulshan mein wo jaan-e-bahaar aae
kaliyon pe shabab aae phulon pe nikhaar aae
nazron ke tasadum mein thin zabt ki takiden
kya jaane samajh kar gaya hum dil ko bhi haar aae
ehsas-e-takabbur mein had se na guzar jaen
shayad isi matlab se phulon mein bhi KHar aae
tauba ke taqaddus ka qail to hun main lekin
paimana baDha dena jab abr-e-bahaar aae
achchha hua 'hamid' ka duniya se guzar jaana
ek bojh tha jo sar se ahbab utar aae
(910) Peoples Rate This