Subh Chale To Zauq-e-talab Tha Arsh-nishan KHurshid-shikar
subh chale to zauq-e-talab tha arsh-nishan KHurshid-shikar
manzil-e-sham aai to hum hain aur shikaston ke ambar
dil ki nadani to dekho kya kya arman rakhta hai
jaise dawam ka aaina ho lamhon ki girti diwar
zist sahi ek tera shabistan lekin yaro shola-e-shauq
ek do nafas to aisa bhaDka tur-misal tha dil ka dayar
kal tak main aur tu the baham raqs-e-saba aur KHanda-e-gul
aaj tere lab yas-guzida mera harf-e-shauq figar
zamzama-o-ahang ki duniya kya yaksar viran hui
mahfil mahfil hu ka saman hai chehra chehra sang-e-mazar
yun bhi aage rah kaThin hai aur athah andhera hai
ai mazi ke shahr-e-charaghan yun na mujhe pichhe se pukar
sang-o-salib hain maidan maidan aur hujum-e-jaan-bazan
kaisi dhum se aaya ab ke marg-e-tamanna ka tyauhaar
(883) Peoples Rate This