Wo Chaal Chal Ki Zamana Bhi Sath Chalne Lage
wo chaal chal ki zamana bhi sath chalne lage
nigar-e-zist teri samt ruKH badalne lage
wafur-e-yas mein muzhda hai kis ke aane ka
ye aaj kyun sar-e-mizhgan charagh jalne lage
zamana pher le aankhen to kya gila us ka
sitam to ye hai ki tum bhi nazar badalne lage
mujhe ye Dar hai ba-in wasf-e-ehtiram-e-wafa
na teri chashm-e-mohabbat kahin badalne lage
ye dagh-e-sajda to nang-e-jabin hai ai zahid
agar na soz-e-mohabbat se dil pighalne lage
na puchh kis nigah-e-KHas ka tasarruf hai
qadam jo rah-e-mohabbat mein KHud sambhalne lage
'hamid' sham-e-ghariban ka kis liye shikwa
wo dekh jaanib-e-manzil charagh jalne lage
(944) Peoples Rate This