Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ef8c74a0fedb121927f29a2829f871b1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHud Apne Jazb-e-mohabbat Ki Intiha Hun Main - Hameed Nag Puri Poetry In English - Darsaal

KHud Apne Jazb-e-mohabbat Ki Intiha Hun Main

KHud apne jazb-e-mohabbat ki intiha hun main

tere jamal ki taswir ban gaya hun main

hadis-e-ishq hun afsana-e-wafa hun main

bhula sake na jise tum wo majra hun main

meri sarisht hai hans hans ke zaKHm-e-gham khana

ki hadsat mein pal kar jawan hua hun main

unhen yaqin nahin mere KHulus-e-ulfat ka

wafa ka apni ye inam pa raha hun main

hamid jis ne miTaya hai bar bar mujhe

usi fareb-e-mohabbat mein mubtala hun main

(840) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Apne Jazb-e-mohabbat Ki Intiha Hun Main In English By Famous Poet Hameed Nag Puri. KHud Apne Jazb-e-mohabbat Ki Intiha Hun Main is written by Hameed Nag Puri. Read famous Poem KHud Apne Jazb-e-mohabbat Ki Intiha Hun Main for youth and Student by Hameed Nag Puri. Free Download KHud Apne Jazb-e-mohabbat Ki Intiha Hun Main in PDF.