KHud Apne Aap Se Hum Be-KHabar Se Guzre Hain
KHud apne aap se hum be-KHabar se guzre hain
KHabar kahan ki teri rahguzar se guzre hain
nafas nafas hai moattar nazar nazar shadab
ki jaise aaj wo KHwab-e-sahar se guzre hain
na puchh kitne gul-o-nastaran ka rup liye
bahaar-e-nau ke taqaze nazar se guzre hain
bahaar-e-KHuld ba-har-gam sath sath rahi
tere KHayal mein khoe jidhar se guzre hain
aman mili bhi jo un ko to tere daman mein
wo karwan jo meri chashm-e-tar se guzre hain
dilon pe chhoD gae naqsh apni yaadon ka
tumhaare dard ke mare jidhar se guzre hain
hasin ho tum ki tumhaari koi misal nahin
hasin yun to hazaron nazar se guzre hain
'hamid' puchh na aashob-e-dahr ka aalam
hazar fitna-e-mahshar nazar se guzre hain
(964) Peoples Rate This