Fikr Pabandi-e-haalat Se Aage Na BaDhi
fikr pabandi-e-haalat se aage na baDhi
zindagi qaid-e-maqamat se aage na baDhi
hum samajhte the gham-e-dil ka mudawa hogi
wo nazar pursish-e-haalat se aage na baDhi
un ki KHamoshi bhi afsana-dar-afsana bani
hum ne jo baat kahi baat se aage na baDhi
sarKHushi ban na saki zahr-e-alam ka tiryak
zindagi talKHi-e-haalat se aage na baDhi
ishq har marhala-e-gham ki haden toD chuka
aql andesha-e-haalat se aage na baDhi
aisi jannat ki hawas tujh ko mubarak zahid
jo tere husn-e-KHayalat se aage na baDhi
nigah-e-dost mein tauqir nahin us ki hamid
wo tamanna jo munajat se aage na baDhi
(1003) Peoples Rate This