Kabhi To Rang-e-husn-e-yar Dekhun
kabhi to rang-e-husn-e-yar dekhun
kahan tak dida-e-KHun-bar dekhun
wahi dekhun jise dekha na jae
ye manzar aur kitni bar dekhun
palak jhapkun to phir in pattharon mein
kahan aise mohabbat-zar dekhun
kisi ka zaKHm-e-dil dekha na jae
jigar ho to koi shahkar dekhun
kamanen TuTti dekhi hain main ne
ginun bahen ki lipTe haar dekhun
kisi ko is tarah dekhun to roun
main kaise apna haal-e-zar dekhun
dilon ke sab ghaDe kachche hain 'kausar'
main kis ki rah dariya par dekhun
(654) Peoples Rate This