Kal Sham Lab-e-baam Jo Wo Jalwa-numa Tha

kal sham lab-e-baam jo wo jalwa-numa tha

kis shauq se main dur khaDa dekh raha tha

jab dost bhi dushman ka taraf-dar hua tha

Thanka tha usi din sar-e-mahfil mera matha

gunja hua ek naghma sar-e-arz-o-sama tha

naghma tha ki biti hui sadiyon ki sada tha

bhuli nahin ujDe hue gulshan ki bahaaren

han yaad hain wo din ki hamara bhi KHuda tha

har barg se aati thi gul-o-lala ki KHushbu

har mauj-e-hawa mein nafas-e-yar ghula tha

tasir-ba-daman thin jawani ki duaen

har aah asar-KHez thi har nala rasa tha

jhapki thi zara aankh ki barham hui mahfil

hum ne abhi kuchh un se kaha tha na suna tha

jis baat ka izhaar tha izhaar-e-haqiqat

dekha to usi baat pe hangama bapa tha

wo darpai-e-azar hain ahbab muKHalif

ye din bhi gharibon ke muqaddar mein likha tha

kya dekh liya aaj ki ji soch raha hai

ye waqia yunhi kabhi pahle bhi hua tha

hum bazm se jaenge to ahbab kahenge

ek shair-e-awara yahan naghma-sara tha

begana-washi kam na hui aap ki us se

har chand 'hamid' aap ka paband-e-wafa tha

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal Sham Lab-e-baam Jo Wo Jalwa-numa Tha In English By Famous Poet Hameed Jalandhari. Kal Sham Lab-e-baam Jo Wo Jalwa-numa Tha is written by Hameed Jalandhari. Read famous Poem Kal Sham Lab-e-baam Jo Wo Jalwa-numa Tha for youth and Student by Hameed Jalandhari. Free Download Kal Sham Lab-e-baam Jo Wo Jalwa-numa Tha in PDF.