Kabhi Apnon Ki Yurish Thi Kabhi Ghairon Ka Rela Tha

kabhi apnon ki yurish thi kabhi ghairon ka rela tha

tere milne ki KHatir hum ne kya kya dukh na jhela tha

mere ahbab kya be-waqt mere pas aa baiThe

ghaTa ghanghor thi wo apne kamre mein akela tha

hamara sham-e-tanhai mein pursan hi na tha koi

wo jis mahfil mein jate the wahin yaron ka mela tha

mohabbat ki junun-angeziyon se hum bhi waqif hain

jawani mein jawano hum ne bhi ye khel khela tha

udhar wo the ki thi ek daulat-e-bedar pas un ke

idhar hum the ki apni jeb mein paisa na Dhela tha

hui muddat ki un ko KHwab mein bhi ab nahin dekha

main jin galiyon mein apne doston ke sath khela tha

jawani mein hamari tund-KHui ek aafat thi

hamare dam se har mahfil mein jhagDa tha jhamela tha

'hamid' us chah-e-gham se aaj tak bahar nahin aaya

azizon ne use muddat hui jis mein Dhakela tha

(760) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Apnon Ki Yurish Thi Kabhi Ghairon Ka Rela Tha In English By Famous Poet Hameed Jalandhari. Kabhi Apnon Ki Yurish Thi Kabhi Ghairon Ka Rela Tha is written by Hameed Jalandhari. Read famous Poem Kabhi Apnon Ki Yurish Thi Kabhi Ghairon Ka Rela Tha for youth and Student by Hameed Jalandhari. Free Download Kabhi Apnon Ki Yurish Thi Kabhi Ghairon Ka Rela Tha in PDF.