Aa Ke Wo Mujh KHasta-jaan Par Yun Karam Farma Gaya

aa ke wo mujh KHasta-jaan par yun karam farma gaya

koi dam baiTha dil-e-nashad ko bahla gaya

kaun la sakta hai tab us ke ruKH-e-pur-nur ki

jis taraf se ho ke guzra barq si lahra gaya

aankh bhar kar dekh lena kuchh KHata aisi na thi

kya KHabar kyun un ko mujh par itna ghussa aa gaya

phir gai ek aur hi duniya nazar ke samne

baiThe baiThe kya bataun kya mujhe yaad aa gaya

yak-ba-yak maghmum ke chehre pe raunaq aa gai

kaun jaane aankhon aankhon mein wo kya samjha gaya

yun to hum ne bhi use dekha hai lekin ai 'hamid'

jaane tujh ko kaun sa andaz us ka bha gaya

(822) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aa Ke Wo Mujh KHasta-jaan Par Yun Karam Farma Gaya In English By Famous Poet Hameed Jalandhari. Aa Ke Wo Mujh KHasta-jaan Par Yun Karam Farma Gaya is written by Hameed Jalandhari. Read famous Poem Aa Ke Wo Mujh KHasta-jaan Par Yun Karam Farma Gaya for youth and Student by Hameed Jalandhari. Free Download Aa Ke Wo Mujh KHasta-jaan Par Yun Karam Farma Gaya in PDF.