Na Sataish Ki Tamanna
nida aai
amboh-e-shaidaiyan
nazninan-e-shahr-e-taKHayyul
ghazalan-e-fikr-o-nazar
gham-gusaran-e-dar-o-salib-orasan
dair se aqidat ki nayab saughat le kar
dar-e-gumbad-e-fan pe sajda-kunan hain
pae-didan-e-manzar-e-shad-kaaman
baDi tamkanat se uTha
uTh ke main ne
jo dekha to had-e-nazar tak farokash
lahu ki lakiron ka ek karwan tha
kabhi jo rag-o-pai mein meri rawan tha
(910) Peoples Rate This