Yaad Mazi Ke Charaghon Ko Bujhaya Na Karo
yaad mazi ke charaghon ko bujhaya na karo
tum bhi tanha na raho mujh ko bhi tanha na karo
nafas-e-baad-e-saba hath na aaega kabhi
gul ki uDti hui KHushbu ka ahata na karo
hum ne dekha hai dam-e-aKHir-e-shab KHwab koi
tum se kahna hai ki tabir ka charcha na karo
kuchh na kuchh hoga mere KHak uDane ka sabab
jaane walo mujhe aawaza-e-sahra na karo
yun na mahsus ho aflak-nashin hai koi
is qadar dur se to mujh ko pukara na karo
(1808) Peoples Rate This