Uske Karam Se Hai Na Tumhaari Nazar Se Hai
us ke karam se hai na tumhaari nazar se hai
mausam dilon ka dard ke raushan shajar se hai
jis se mere wajud ke pahlu ayan hue
shayad mera moamla us ke hunar se hai
hail hua na koi talluq ki rah mein
daim tamam silsila bint-e-sahar se hai
aaya na wo haram mein imamat ke waste
kuchh rabt hi ajib use apne ghar se hai
apni gali mein nasb hai wo sang-e-be-nawa
kahte hain garche wasta us ko safar se hai
us ke siwa na dil ki hikayat koi paDhe
mansub meri dastan ek dida-war se hai
mahsus kis tarah ho mujhe dhup ka azab
'almas' karobar mera baad-e-tar se hai
(1069) Peoples Rate This