Jitne Achchhe Log Hain Wo Mujhse Wabasta Rahe
jitne achchhe log hain wo mujh se wabasta rahe
mere sare bol un ke lab se paiwasta rahe
sab parinde la rahe hain aasmanon se KHabar
mere ghar aangan mein aa kar kab wo par-basta rahe
wo tariq-e-KHauf-o-dahshat par amal-paira sahi
main ye kahta hun ki qatl-o-KHun bhi shaista rahe
bawajud-e-ham-nashini us se kuchh paya na faiz
dil bhi aazurda raha haalat bhi KHasta rahe
kam se kam baqi rahe sab ke dilon mein rasm-o-rah
ye munasib hai gharon ke darmiyan rasta rahe
sarhad-e-imkan se aage thin yahi tarikiyan
kya zaruri hai andhera har jagah Dasta rahe
umr-bhar karte rahe 'almas' milne se gurez
kijiye tahqiq kyun wo raaz sar-basta rahe
(1032) Peoples Rate This