Harf-e-ghazal Se Rang-e-tamanna Bhi Chhin Le
harf-e-ghazal se rang-e-tamanna bhi chhin le
main jal raha hun aatish-e-naghma bhi chhin le
be-barg-o-bar ho gaya imroz ka shajar
mujh se mata-e-gulshan-e-farda bhi chhin le
mere junun ko hajat-e-diwar-o-dar nahin
ghar se juda hua hun to saya bhi chhin le
ab to nashat-e-did ka bhi silsila gaya
yani dil-o-nigah ka rishta bhi chhin le
chhina hai tu ne sham ke ruKH se salona-pan
ab shahr-e-arzu se ujala bhi chhin le
baqi rahe na dast-e-tasarruf mein koi shai
jo kuchh mujhe diya tha wo hissa bhi chhin le
(886) Peoples Rate This